Skip to main content

Kuchh Mazahia Shairi

Girgit Ahmedabadi

jahaa.N gaaye the khushiyo.n ke taraane,
muqaddar dekhiye roye wahii.n par


hue masjid se Gum juute hamaare,
jahaa.N se paaye the, khoye wahii.n par


Girgit Ahmedabadi

rail ke Dibbe me.n ye qissaa huaa
ek bachchaa zor se rone lagaa


maa.N ne samajhaane kii koshish kii bahot
us ko bahalaane kii koshish kii bahot


thak ke aakhir loriiyaa.N gaane lagii
bijaliyaa.N kaano par barasaane lagii


das minute tak loriiyaa.N jab wo gaa chukii
til-milaa kar bol uThaa ek aadamii


"Behanjii, itanaa karam ab kiijiiye
aap is bachche ko rone diijiiye!"


Girgit Ahmedabadi

jis din huaa paThaan ke murGe kaa inteqaal
daawat kii maulavii kii tab aayaa use Khayaal


murdaar murG kii huii mullaa ko jab Khabar
saaraa badan sulag uThaa, Gaalib huaa jalaal


kahane lage khilaaoge mam gosht?
tum ko nahii.n zaraa bhii shariyat ka kuchh Khayaal


murdaar Gosht to shariyat me.n hai haraam
jab tak na zibaah kiijiiye, hotaa nahii.n halaal


fatawaa jab apanaa maulavii saahab sunaa chuke
jhunjhalaa ke Khan ne kiyaa tab un se ye sawaal


kaisii hai aap kii ye shariyat bataaiiye
ba.nde ko kar diyaa hai Khudaa se bhii baa-kamaal?


allaah jis ko maar de, ho jaaye wo haraam
ba.nde ke haath jo mare, ho jaaye wo halaal?


SaaGar Khayyami
[musha'iro.n me.n police-waalo.n kii duty lagatii hai aur woh ghar jaate jaate Khud shaa'ir ban jaate hai.n. Is mauzuu par ek sher]


raftaa raftaa har police-waale ko shaa'ir kar diyaa,
mehfil-e-sher-o-suKhan me.n bhej kar sarakaar ne


ek qaidii subah ko phaa.Nsii lagaa kar mar gayaa,
raat bhar Gazale.n sunayii.n us ko thaanedaar ne


SaaGar Khayyami

ek shaam kisii bazm me.n juute jo kho gaye,
ham ne kahaa bataaiiye ghar kaise jaaye.nge


kahane lage ke sher sunaate raho yuu.N hii,
ginate nahii.n bane.nge abhii itane aaye.nge


SaaGar Khayyami

bolaa dukaan-daar ke kyaa chaahiye tumhe.n?
jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge


mai.ne kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai?
bolaa yahii.n pe khaaoge yaa.N leke jaaoge?

---------------
Popular Meeruti

mai.n huu.N jis haal me.n aye mere sanam rahane de,
teG mat de mere haatho.n me.n qalam rahane de


mai.n to shaa'ir huu.N, meraa dil hai bahot hii naazuk,
mai.n paTaake hii se mar jaauu.Ngaa, bam rahane de

---------
mehabuub waadaa kar ke bhii aayaa na dosto.n
kyaa kyaa kiyaa na ham yahaa.N us ke pyaar me.n


murGe churaa ke laaye the jo chaar "Popular"
"do aarazuu me.n kaT gaye, do intezaar me.n"

Comments

Popular posts from this blog

Sun charkhe di Mithi Mithi Kook

Sun charkhe di mithi mithi kook mahiya mainu yaad aavda mere dil vicho uthdee a hook mahiya mainu yaad aavda sun charkhe di mithi mithi koo Mere eid waala chann kado chadega allah jaane mahi kadon vede vadenga dukh daade ne te zind-dee malook mahiya mainu yaad aavda...sun charkhe di mithi mithi kook Taane marde ne aapne shareek ve likh chithi vich aun di tareek ve kaali raat vaali dange mainu shoog ve sun charkhe di mithi mithi kook Mahi aavega te khushiya manava gi, manava gee ohde raava vich akhiya bichhava gi jaan chhadiye vichhodeya ne phook sun charkhe di mithi mithi kook katta pudiya te hanju mere vaagde hun haase v nahi mainu change laagde, nahi change laagde kive bhool jaava ohde main salook mahiya mainu yaad aavda sun charkhe di mithi mithi kook

Garmi-e-Hasarat-e-Nakaam Se Jal Jaate Hain

garmi-e-hasarat-e-nakaam se jal jaate hain ham charagon ki tarah shaam se jal jaate hain bach nikalate hain agar aatih-e-sayyad se ham sholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaate hain Khudanumaai to nahin shevaa-e-arabaab-e-vafaa jin ko jalanaa ho vo aaraaam se jal jaate hain shamaa jis aag main jalatii hai numaaish ke liye ham usii aag main gumanaam se jal jaate hain jab bhii aataa hai meraa naam tere naam ke saath jaane kyun log mere naam se jal jaate hain rabtaa baaham pe hamain kyaa na nahenge dushman aashanaa jab tere paigaam se jal jaataa hai _ Qteel Shifai

Gaye dinon ka suragh lekar

gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo ajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya wo khushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har dam wo bu-e-gul tha ki nagma-e-jan mere to dil mein utar gaya wo wo maikade ko jaganevala wo raat ki neend udanevala na jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya wo kuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhi jo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya wo shikastapa rah mein khada hun gaye dinon ko bula raha hun jo qafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gaya wo bas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahal-e-dil ki ye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo wo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon ka teri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya wo wo hijr ki raat ka sitara wo hamnafas hamsukhan hamara sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wo bas ek moti si chab dikhakar bas e